Shri Asharamayan

Bapuji.jpg

Shri Asharamayan
guru charan raj sheesh dhari, hriday roop vichar
shri asharamayan kahaun, vedanta ko saar
dharm kaamaarth moksha, de rog shok sanhaar
bhaje jo bhakti bhaav se, shighra ho beda paar

bharat sindhu nadi bakhaani, nawaab jile mein gaav berani
rahte ek seth gunkhaani, naam thaumal sirumalani
aagya mein rahti mangiba, pati parayan naam mangiba
chait vad chhah unnees chauranve, aasumal avtarit aangne
maa man mein umda sukh sagar, dwaar pe aaya ek saudagar
laaya ek ati sundar jhoola, dekh pita man harsh se foola
sabhi chakit ishwar ki maya, uchit samay par kaise aaya
ishwar ki ye leela bhaari, balak hai koi chamatkari

sant seva aur shruti shravan, maat pita upkaari
dharma purush janma koi, punyon ka fal bhari

surat thi baalak ki saloni, aate hi kar di anhoni
samaaj mein thi maanyata jaisi, prachalit ek kahavat aisi
teen behan ke baad jo aata, putra wah trekhan kahlata
hota ashubh amangalkari, daridrata laata hai bhari
vipreet kintu diya dikhaai, ghar mein jaise lakshmi aayi
tirloki ka aasan dola, kuber ne bhandaar hi khola
maan pratishtha aur badhai, sab ke man sukh shanti chhaai

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
tejomay baalak badha, aanand badhaa apaar
sheel shanti ka atmadhan, karne lagaa vistaar

ek dinaa thaumal dwaare, kulguru parshuraam padhaare
jyun hi ve baalak ko nihaare, anaayaas hi sahasa pukaare
yah nahin baalak saadharan , daivi lakshan tej hai kaaran
netron mein hai saatvik lakshan, iske kaarya bade vilakshan
yah to mahaan sant banega, logon ka uddhaar karega
suni guru ki bhavishyawani, gad gad ho gaye sirumalani
mata ne bhi maatha chooma, har koi lekarke ghooma

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
gyaani vairaagi poorva ka, tere ghar mein aaye
janma liya hai yogi ne, putra tera kahalaaye
paawan tera kul hua, janani kokh kritaarth
naam amar tera hua, purna chaar purushaarth

saintaalis mein desh vibhajan, sindh mein choda bhoo pashu au dhan
bharat amdavad mein aaye, maninagar mein shiksha paaye
badi vilakshan smaran shakti, asumal ki ashu yukti
teevra buddhi ekagra namrata, tvarit kaarya aur sahansheelta
asumal prasanna mukh rahte, shikshak hansmukhbhai kahte
de de makkhan mishri kooja, maa ne sikhaya dhyan aur pooja
dhyan ka swad lagaa tab aise, rahe na machhli jal bin jaise
huye brahmavidya se yukta, ve vahi hai vidya ya vimuktaye
bahut der tak pair dabaate bhare, kanth pitu aashish paate

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
putra tumahara jagat mein, sada rahega naam
logon ke tumse sada, puran honge kaam

sir se hati pita ki chaaya, tab maaya ne jaal phailaya
badey bhai ka hua kushashan, vyarth hue maa ke aashwashan
gaye siddhpur sadhna karne, krishna ke aage bahaaye jharne
sevak sakha bhaav se bheeje, govind madhav tab hai reejhe
ek dina ek maai aayi, boli he bhagwan sukhdaayi
pade putra dukh mujhe jhelne, khoon case do bete jail mein
bole aasu sukh paavenge, nirdosh chut jaldi aavenge
bete ghar aaye maa bhaagi, aasumal ke paavon lagi

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
aasumal ka pushta hua, aalokik prabhaav
vaak siddhi ki shakti ka, ho gaya pradurbhaav

baras siddhpur teen bitaaye, laut ahmedabad mein aaye
karne lagi lakshmi nartan, kiya bahi ka dil parivartan
cinema unhe kabhi na bhaaye, balat le gaye rote aaye
jis maa ne tha dhyan sikhaya, usko hi ab rona aaya
maa karna chahti thi shaadi, aasumal ka man vairagi
phir bhi sabne shakti laagayi, jabran kar di unki sagai
shaadi ko jab hua unka man, aasumal kar gaye palaayan
karat khoj mein nikal gaya dum, mile bharuch mein ashok ashram
kathinaai se mila raasta, pratishtha ka diya vaasta
ghar mein laaye aajmaaye, guru baarat le pahunche aadipur
vivaah hua par man dridhaaya, bhagat ne patni ko samajhaaya
apna vyavhar hoga aise, jal mein kamal rehata hai jaise
saansaarik vyavahar tab hoga, jab mujhe sakshatkar hoga
saath rahe jyun aatma kaaya, saath rahe vairagi maya

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
anashwar hoon main jaanta, sat-chit hoo anand
sthiti mein jeene lagoon, hove parmananda

mool granth adhyayan ke hetu, sanskrit bhasha hai ek setu
sanskrit ki shiksha paayi, gati aur sadhana badhaai
ek shlok hriday mein paitha, vairagya soya uth baitha
asha chhod nairashya avalambit, uski shiksha purna anushthit
lakshmi devi ko samjhaya, isha praapti ka dhyeya bataya
chhod ke ghar main ab jaoonga, lakshya prapta kar laut aaoonga
kedarnath ke darshan paye, guru khojat pag age badaye
aaye krishna leela sthali mein, vrindavan ki kunj galin mein
krishna ne man mein aisa dala, ve ja pahunche nainitala
wahan thhey shrotriya bramhanishthit, swami leelashah pratishtit
bhitar taral thee bahar kathora, nirvikalpa jyun kagaz kora
purna swatantra param upkari, brahmanishtha atma sakhshatkari

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
isha-krupa bina guru nahin, guru bina nahin gyaan
gyaan bina atma nahin, gavahi ved-puraan

jaanne ko saadhak ki koti, sattar din tak hui kasoti
kanchan ko agni mein tapaaya, guru ne aasumal bulwaya
kaha grihasth ho karma hi karna, dhyan bhajan ghar par hi karna
aagya maani ghar par aaye, paksha mein moti-coral dhaaye
narmada tat par dhyan lagaaye, lalji maharaj ati harshaaye
bhagwat preeti dekh man bhaye, datta-kuter mein sagrah laaye
umada prabhu prem ka chaska, anusthaan chaalis diwas ka
mare chhaha shatru sthiti paayi, bramha nishthata sahaja samai
shubha-ashubha sam ronaa-ganaa, grishma thand maan aur apmana
tripta ho khaana bhook aru pyaas, mahal aur kutiya aas niraas
bhakti yoga gyaan abhyaasi, hue samaan magahar aur kaasi

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
bhaav hi kaaran ish hai, na swarna kaashth paashan
sata-chita-ananda roop hai, vyaapak hai bhagawaan
bramheshaan janaardan, saarad shesh ganesh
nirakar saakaar hai, hai sarvatra bhavesh

hue aasumal bramha-abhyaasi, janm aneko laage baasi
dur ho gayi aadhi vyaadhi, siddha ho gayi sahaj samaadhi
ik raat nadi tat man aakarsha, aai jor se aandhi varsha
band makaan baramda khali, baithe wahin samadhi lagaali
dekha kisine socha daku, laaye laathi bhaala chaku
daude chikhe shor mach gayaa, tuti samadhi dhyan khinch gaya
sadhak utha thhey bikhare kesha, raag dvesh naa kinchit lesha
saral logon ne saadhu manaa, hathyaaron ne kaal hi jaana
bhairav dekh dusht ghabaraye, pahalwaan jyun malla hi paaye
kaami janon ne aashiq maana, sadhujan kinhe parnaama

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
ek drishti dekhe sabhie, chaley shaant gambhir
sashastron ki bheed ko, sahaj gaye ve cheer

maata aayi dharam ki sevi, saath mein patni lakshmi devi
dono phut phut ke roi, rudan dekh karuna bhi roi
sant lalji hridaya pasija, har darshak aansoo mein bhija
kaha sabhie ne aap jaaiyo, asumal bole ki bhaiyon
chaalis diwas hua nahi pura, anusthaan hai mera adhura
asumal ki teevra titiksha, maa patni ne ki partiksha
jis din gaon se hui vidaai, jaar jaar roe log lugai
ahmedabad ko hue ravana, miyaa-gaon se kiya payana
mumbai gaye guru ki chaah, mile vahin pe lilashah
param pita ne putra ko dekha, surya ne ghat jal mein pekha
ghatak tod jal jal mein milaya, jal prakash aakash samaya
nij swaroop ka gyaan dridhaya, dhai diwas bhramanand chaaya

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
aasoj sud do diwas , sanwat bees ikkis
madhyaanh dhaai baje, mila eesh se eesh
deh sabhie mithya hui, jagat hua nissar
hua aatma se tabhi, apna sakhshatkar

param swatantra purush darshaya, jeev gaya aur shiv ko paaya
jaan liya hoon shant niranjan, laagu mujhe na koi bandhan
yah jagat sara hai nashwar, main hi shaashwat ek anashwar
nain hai do par drishti ek hai, laghu guru mein wahi ek hai
sarvatra ek kise batlaaye, sarv vyaapt kahaan aaye jaaye
anant shaktiwala avinaashi, riddhi siddhi uski daasi
yadi wah sankalp chalaaye, murda bhi jeevit ho jaaye

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
brahmi stithi prapt kar, kaarya rahe na shesh
moh kabhie na thag sake, ichchaa nahin lavlesh
purna guru kirpa mili, purna guru ka gyaan
asumal se ho gaye, sai asharam

jaagrat swapna sushupti chete, brahmanand ka anand letey
khaate peete maun ya kahate, brahmanand masti mein rahate
raho grihastha guru ka aadesh, grihast sadhu karo updesh
kiye guru ne vaare nyaare, gujarat disaa gaon padhare
mrut gaay diya jeevan daanaa, tab se logon ne pehachana
dwaar pe kehate narayan hari, lene jaate kabhie madhukari
tab se ve satsang sunaate, sabhie aarti shanti paate
jo aaya uddhar kar diya, bhakt ka beda paar k ar diya
kitne marnasann jilaaye, vyasan maans aur maddya chhudaaye

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
ek din man uktaa gayaa, kiyaa deesa se kooch
aayi mauj fakir ki, diyaa jhopadaa phoonk

ve naareshwar dhaam padhare, ja pahunche narmada kinare
meelon peeche chhoda mandir, gaye ghor jungle ke andar
ghane vriksha tale patthar par, baithe dhayaan niranjan ka dhar
raat gayi prabhaat ho aayi baal ravi ne surat dikhaai
praatah pakshi kooyal kuakanta, chhuta dhyaan uthe tab santaa
praatarvidhi nivrit ho aaye, tab aabhas kshudhaa ka paaye
socha main na kahin jaoonga, yahin baith kar ab khaoonga
jisko garaj hogi aayega, srishti karta khud laayega
jyun hi man vichaar ve laaye, tyun hi do kisan wahan aaye
dono sir par baandhe saafa, khaadya peya liye dono haatha
bole jeevan safal hai aaj, arghya swikaro maharaj
bole sant aur pe jao, jo hai tumhara use khilao
bole kisan apko dekha, swapna mein maarag raat ko pekha
hamara na koi sant hai duja, aao gaon karein tumhari pooja
asaramji man mein dhaare, niraakar aadhaar hamare
piya dudh thoda phal khaya, nadi kinare jogi dhaaya
ek din sabarmati tat aye, rishi bhumi ke spandan paye
ban gya moksh kuteer waha par, teerath bana sant ko pakar


hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
ahemdabad gujarat mein, hai motera gram
bramhanishta shri sant ka, yahin hai paavan dhaam
atmanand mein mast hai, kare vedanti khel
bhakti yog aur gyaan ka, sadguru karte mel
saadhikaaon ka alag, ashram naari uthhan
naari shakti jagrit sada, jiska nahin bayaan

vat vraksh par dali drishti, kar di apni krupa ki vrushti
parikrama iski jo karte, manokamna karaj falte
guru dar pe hai sab kuch milta, shradha se jeevan hai khilta
bhramgyani ki mahima bhari, sharan pade unki balihari
gas kand vikral ghata jab, kaap utha bhopal nagar tab
jehri gas ki phalin hawayen, hazaro ne pran gavaye
asaramji ki jo sadhak bache sabhi, sadguru the rakshak
gurumantra jo nishdin japte, ve na akal mrityu se darte
kahar tsunami ne ho dhaya, bad akal bhukamp ho aya
jab bhi koi apda ayi, guruvar ne sewa phuchai
ashao ke ram humare, kahlate hai bapu pyare
bapu hai yogi bhramveta, kripa abhilashi jangan neta
atalji ne bhi jab ashish paya, pradhanmantri pad shobhaya
vipatkal me arzi lagayi, satta purna kal tak payi
hindu muslim sikh isai, bapu chahe sabki bhalai
kitno ko sanmarg dikhaya, prabhu prem anand barsaya

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om

gurunindak ke sang se, hota satyanash
guru ninda jo kare sune, pade wo yam ki phaans
guru agya palan karen, anya bhavna tyag
bhram gyan ka lakshya rahe, shishya wahi badbhagya
guru mantra japta rahe, karta jo nit dhyan
guru sewa men laga rhe, nishchit ho kalyan

ghatna hai godhra ki nyari, duniya men charchit hui bhari
asharamji ka helicopter, gira godhra ki dharti par
purze chakna churna ho gye, ar gagan men dur udh gye
hazaro ki bheed thi ayi, phir bhi kisiko kharoch na ayi
shwet idhan ki phuti tanki, lagi aag bhuj gyi swam hi
hadsa jab bhi esa hua hai, na koi jeevit swasthya bacha hai
bapu turant pandal padhare, kiya nritya harshit hue sare
chamatkar tha azab anokha, duniya ne ghar bethe dekha


hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
logo ne yashgan kiya, lakh lakh kiya bakhan
das second ka hadsa, chamatkar ye mahan
mahakal ko kal ne, shat shat kiya pranam
sarv samarth hai sadguru, samrath hai prabhu naam


baalak vriddha aur nar naari, sabhie prerna paaye bhari
ek baar jo darshan paaye, shanti ka anubhav ho jaaye
nitya vividh prayog karaye, naad-anusandhan bataye
naabhi se ve om kehalayen, hriday se ve ram kehalayen
samanya dhyaan jo lagaye, unhein ve gehare meile jaye
sabko nirbhay yog sikhayen, sabka atmotthan karayen
lakhon ke hai rog mitaaye, shok karodo ke hai chhudaaye
amritmay prasad jab dete, bhakt ka rog shok har lete
jisne naam ka daan liya hai, guru amrit ka paan kiya hai
unka yog kshem ve rakhte, ve na teen taapon se tapte
dharm kamarath moksha ve paate, aapad rogon se bach jaate
sabhie shishya raksha hain pate, sarvvyap guru bachate
sachmuch guru hai deen dayal, sahaj hi kar dete hai nihaal
ve chaahate sab jholi bhar le, nij atma ka darshan kar lein
ek sau aanth jo paath karenge, unke sare kaaj sarenge
rahe na chinta dukh nirasha, hongi purna sabhie abhilasha

hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om
varabhayadata sadguru, param hi bhakta krupal
nischal prem se jo bhaje, sai kare nihaal
man mein naam tera rahe, mukh pe rahe sugeet
humko itna dijiye, rahe charan mein preet
hari om hari om hari om hari om - hari om hari om hari om hari om